48 Hours in Mumbai: Do Din Mein Mumbai Ka Perfect Plan!

Mumbai ghumna har kisi ka sapna hota hai. Mumbai ko ‘Dream of City’ bhi kaha jata hai, aur aapne agar mumbai ghumne ka faisla kiya hai to bahut accha faisla hai, Mumbai ek bahut badi city hai, to 48 hours in Mumbai kaise spend karna hai ye aapko es article ko padhne se pta chal jayega. 2 din me mumbai ghumne ka sabse smart tarika ham aapko es article me batayenge.

Day 1 par ham South Mumbai ke historical and heritage ko cover karenge.
Day 2 me ham Western Suburbs Bollywood, Beaches & Trendiest Cafes ko explore karenge.

Ye planning se ager ghumenge to apna samay barbaad hone se bacha lenge kyuki Mumbai me bhi traffic bahut rahta hai. To aaiye dekhte hai 2 days in mumbai itinerary plan. Lets collect memories-

Day 1 South Mumbai: Historical and Heritage

Aaj ham mumbai ka wo hissa pehle explore karenge jo iconic monuments, British jamane ke architecture aur arab sagar ke sukoon ke liye famous hai.

Gateway of India- South Mumbai

08:30 AM – 10:00 AM | Gateway of India aur The Taj Mahal Palace

Kya Karein: Ager bheed se bach ke din suruaat karte hai to bahut accha rahega, Gateway of India se apne din ki suruat kare, yahan subah ki thandi hava aura samundra ka nazara apko bahot sukoon dega. Aur ab aata hai photos click karne ki bari, to aap dekhenge ki thik Samundra ke samne Iconic Taj Hotel hai to photos click karke instagram par jaroor post karein. Yahan par photos click karna ek amazing ritual hai.

Breakfast Tips: Pass mein Cafes hai wha jaker south indian breakfast ya bun-muska chai enjoy kar sakte hai.

10:30 AM – 01:00 PM | Colaba Causeway Shopping aur Kala Ghoda Arts

Kya Karein: Colaba Causeway, Gateway se walking distance par hai. Yeh shopping ke liye bahot famous hai, Yahan par junk jewellery, kapde aur anitiques bahot acche aur saste milte hai. Lekin Bargaining karna jaroori hai. Ab shopping ke bad chalte hai Kala Ghoda ki taraf, yahan par aap Jahangir Art Gallery aur yahan ke amazing street ko explore kar sakte hai.

01:00 PM – 02:30 PM | Lunch At An Iconic Irani Cafe

Kahan Jayein: Britannia & Co. ya Kyani & Co. me jayein jo fort area me hai, Yahan ki famous dishes jaroor try karein jaise ki Berry Pulao, Mutton Dhansak aur Caramel Custard poore Mumbai ke bahot famous hai.

02:30 PM – 05:00 PM | CSMT Terminus, Flora Fountain & Mani Bhavan

Kya Karein: Ab lunch karne ke bad ek taxi lein aur CSMT ( Chhatrapati Shivaji Maharaj Terminus dekhne jayein. CSMT ek UNESCO world heritage site hai aur yeh Gothic architecture se bana hai jo ki dekhne layak hai. Usi raste me Flora Fountain aur Mahatma Gandhi ka purana ghar hai jiska name mani bhavan hai wo bhi dekh sakte hain.

05:30 PM – Raat Tak | Marine Drive (Queen’s Necklace) aur Girgaon Chowpatty

Kya Karein: Shaam ho gyi ab seedhe chalna chahiye Marine Drive Par. Ye samundra ke kinare bani road par baithkar sunset ka maza lein. Yeh bahut hi khoosurat ehsaas deta hai. Yahan raat ki lights on hone ke bad motiyon ka necklace jaise lgta hai jiska name Queen’s Necklace bhi kaha jata hai.

Dinner Tip: Pass me hi Girgaon Chowpatty hai wahan jaker mumbai ki famous street food Pav Bhaji, Bhel Puri, Pani Puri, Sev Puri jaroor enjoy karein. Proper dinner ke liye pure veg Swati Snacks aur non-veg ke liye BadeMiyaan ka khana try karein.

Day 2: Suburbs (Bollywood, Sea Link aur Beach Vibes)

Ab ham dusre din ghumnege wo jagahe jahan jo modern hai aur jahan Bollywood stars ka aashiyana hai aur yahan ka cafe culture bahut accha hai.

Bandra- Worli Sea Link

09:30 AM – 11:30 AM | Bandra Fort aur Bandstand (Bollywood Darshan)

Kya Karein: ham din ki suruat karenge Bandra Fort se jise Castella de Aguada bhi Kaha jata hai. Yahan se aapko Bandra Worli Sea link ka beautiful nazara bhi dekhne ko milega. Ab ek walk le Bandstand me, yaha par apko Shah Rukh Khan ka ghar jiska name ‘Mannat’ hai apne suna to hoga hi wo dekhne ko milega, aur wo aisa point hai jahan par selfie lene ke liye logo ki bheed lagi rahti hai. Aur yahin par apko Salman Khan ka Galaxy Apartments bhi dekhne ko milega.

12:00 PM – 02:30 PM | Chapel Road Graffiti aur Bandra Cafe Hopping (Lunch)

Kya Karein: Bandra ko food hub bhi kaha jata hai aur Bandra ki Chapel Road par apko bahot hi creative street art and Bollywood graffitis bhi dekhne ko milti hai. Yahan par aap cafes me ek amazing lunch enjoy kar sakte hai.

02:30 PM – 05:00 PM | Linking Road Par Street Shopping

Kya Karein: Shopping karna kise pasand nhi hota, ager aapko bhi shopping pasand hai wo bhi budget me to Bandra West me Linking Road ek best option hai jahan par apko affordable rate me footwear, bags and bahut sare kapdo ki variety mil jayegi. Yahan par apko brands aur street vendors dono ek hi jagah mil jate hai.

05:30 PM – 07:30 PM | Juhu Beach Sunset aur Vada Pav

Kya Karein: To shaam ho gyi aur ab chalna chahiye Juhu beach ki taraf jo ek sabse bada aur lively beach hai. Yahan par aap samundar ke kinare baithkar garma garam vada pav, pav bhaji ke sath leharo ka maza le sakate hai, aur haa, yaha ka famous Gola jaroor try karein.

08:00 PM Onwards | Siddhivinayak Temple / Nightlife Experience

Ab apke pass do option hai. Option 1 Spiritual experience and Option 2 Party/Nightlife ka maza.

Option 1 (Spiritual): Agar aap aadhyatmik ke jude hai to Shree Siddhivinayak temple me Bappa ke dasrshan jaroor kare jo ki Prabhadevi me hai. Raat ke time mandir ki sajawat, lighting aur darshan bahot ki acche hote hai.

Option 2 (Party/Nightlife): Agar apko Mumbai ki nightlife enjoy karni hai to Juhu ya fir Lower Parel ki kisi acche lounge ya pub me jaker ek alag experience le sakte hai aur din ki ek acchi ending kar sakte hai.

Mumbai Trip: Ultimate Packing Checklist

Mumbai ghumne nikal rhe hai to apko paidal bhi chalna padega and yahan ki humadity bhi jhelni padegi jo kafi jyada hoti hai, to esliye apko bag aisa pack karna chahiye jisse apko koi bhi paresani na ho. Toh chaliye dekhte hai kuch jaroori saman jo apke bag me hona jaroori hai:

Clothing & Footwear

Lightweight Cotton Clothes: Kapde aise pack kare jo halke hone ke sath sath comfort bhi de, Jaise ki Loose t-shirts, shirts, linen pants, cotton suits, cotton kurties, cotton sarees aur cotton dresses jo paseena sokh le.

Comfortable Sneakers/Walking Shoes: Jab aap heritage tours aur walking par jayenge tab ye bahot kam aayenge.

Slip-ons / Flip-flops: Ye beaches par ghumne ke liye.

Modest Ethnic Wear: Jab aap mandir ya dargah jaise Siddhivinayak temple, Mahalaksmi temple, Mumba Devi Temple ya Haji Ali Dargah jayenge to ye kaam aayega jaise ki kurta ya full pants ( womens- Sarees ya Suits).

Sun & Weather Protection

Sunscreen (SPF 50+): Kyuki Mumbai me garmi aur dhoop jyada hoti hai to tanning se bachne ke liye yeh jaroori hai sath lena.

Sunglasses & Cap/Hat: Jab aap din me ghumne jayenge to ye bahut kam aayega dhoop se bachne ke liye and esme photos bhi kafi khoobsurat aati hai.

Pocket Umbrella: Mumbai ke mausam ka koi bharosha nhi hai, kabhi dhoop to kabhi barish, ye pocket friendly umbrella apko dono se bachayega.

Tech & Gadgets

Power Bank: Photos to click karna mandatory hai. Photos click karne me and Maps ko use karne me battery bahut jaldi khatam ho jati hai, esliye 10,000mAh+ ka power bank jaroor sath rakh le.

Wired Earphones/Airpods: Ye to bhoolne ki chiz hi nhi hai. Local trains me aur cabs me lamba safar tay karte samay boriyat ko door karne ke kaam aayega.

Health & Hygiene

Hand Sanitizer & Wet Wipes: Jaisa ki maine kaha Mumbai me humadity jyada rhti hai, to humadity me face saaf karne ke liye wet wipes and street food enjoy karne se pahle hand sanitizer use karna jaroori hai. Yeh apko hygenie rakhne me help karega.

Basic Medicines: Dehydration se bachne ke liye apne sath ORS ya Electral powder jaroor sath rakhe. Street food jab heavy ho jaye to digene ya pudinhara lena sahi rahta hai to ye bhi sath rakhe aur band-aids bhi sath rakhe.

Smart Tips: Final

Transport: Day 1 ke liye- Kyuki South Mumbai me auto allowed nhi hai esliye mumbai ki local Kali-Peeli taxi lena hi best option hai. Day 2 ke liye autos aap le sakte hai.

Sea Link Experience: 2 dino me kisi bhi din cab wale ko boliye Bandra- Worli Sea Link se le jane ke liye. I am sure, sea link par apko bahut maza aayega bilkul international wali feeling aati hai.

Local Trains: Traffic se bachna hai to local trains jaroor use kare Churchgate to Bandra ke liye. Office time par local train ka use na kare kyuki bahut bheed rahati hai (5:30 PM – 8:30 PM) to es time avoid karna better hai.

Aap mere travel content Youtube par bhi dekh sakte hai 48-hours ka itinerary. Mere aise hi aur blogs ke liye My Blog page par jaroor visit karein.

Leave a Comment