Ooty In Monsoon: जन्नत या आफत? जाने से पहले ये गाइड जरूर पढ़ें!

Ooty ki hariyali, chai ke khubsoorat bagan aur har taraf safed dundh (mist) ese ‘जन्नत’ banati hai lekin whi heavy rain, landslides aur band raste ese ‘आफत’ bhi bana sakte hai.

Kuch log khte hai ki monsoon me ooty kisi ‘जन्नत’ se kam nhi hai to whi kuch log ese आफत ka bhi name dete hai. Kya Aap bhi confused hai ki Ooty in Monsoon kaisa rhta hai.

Kya aap bhi esi kashmakash me hai ki monsoon me ooty ka trip plan karna chahiye ya nhi, to ye sab jankari apko es blog me mil jayegi. Ooty monsoon guide blog me apko ooty ke monsoon ki khoobsurti ke sath- sath apko eski sacchai se bhi rubru karayenge.

Kya monsoon me ooty ghumna apke liye perfect vacation sabit hoga ya sirf paiso ki barbadi? So, aayiye es guide blog me sabkuch jante hai taki ye trip apke liye aafat nhi jannat sabit ho jaye.

Ooty Jannat (जन्नत) Kyu Hai?

Ooty in Monsoon: जन्नत या आफत?​

Mai aapko wo points btaungi jo ooty ko Jannat (जन्नत) Banate hai-

  • Charo taraf chayi hariyali, badlo ka pahado se takrana, pahado par safed dundh, aisa lgta hai jaise badlo par khade ho.
  • Chai ke bagan, Gajar ki kheti aur ke bad chai ke bagano ki hariyali dekhne layak hoti hai.
  • Waterfalls to monsoon me bahut hi khoobsurat ho jate hai. Pykara Falls and Catherine Falls to dekhane layak hote hai.
  • Hanth me garam garam chai, hari bhari pahadiaya aur rimjhim barish wah kya combination hai.
  • Sabse bada benefit monsoon me crowd kam hota hai to hotels bhi easily available hote hai wo bhi kafi saste rate me.

Ooty Aafat ‘आफत’ Kyu ban sakta hai?

monsoon in ooty

Ab kuch points me gaur karte hai jo ooty ke monsoon ki sacchai hai-

  • Pahado par bhari barish ki vajah se landslide ka khatra kafi rhta hai jiski vajah se road bockege ho sakta hai.
  • Monsoon me pahado par (mist) dundh etni jyada hoti hai ki driving karna bahut muskil aur dangrous ho sakta hai.
  • Kyuki barish bahut hoti hai to trekking ke raste ghas se bhar jate hai aur ghas me leeches (जोंक) ka khatra bhi badh jata hai.
  • Bhari barish ki vajah se sightseeing cancel karna padh sakta hai, es time par toy train, boating band ho jati hai.

Safety Tips

Weather- Trip par nikalne se phle local news aur weather check krna na bhoolen.

Packing- Raincoat, Umbrella, Waterproof shoes, waterproof mobile pouch, leeches se bachne ke liye salt ya antiseptic cream example dettol liquid pack karna na bhoolen.

Tips for Driving- Fog me lights ka estemal kare aur slow drive kre. Raat me driving avoid kare.

Monsoon-Friendly Places in Ooty (कहाँ घूमें?)

Ooty Lake: Monsoon me lake ka view just ‘WOW’ amazing. Kamal ka nazara hota hai agar halki barish ho to. Charo taraf pahado se ghira hariyali ke sath bahut khoobsurat lagta hai.

Doddabetta Peak: Yhan par jana ek bahut hi accha experience ho sakta hai, Badlo ke beech hone ka ahsas bahut hi accha lgta hai.

Government Botanical Garden- Barish me garden ka view bahut hi sundar ho jata hai, alag alag tarah ke phool aur bahut sare trees ki variety dekhne ko mil jati hai.

Tea Factory Museum: Ye bhari barish ke liye best option ho sakta hai. Bhari barish me indoor activity ka best option hai ye.
Lake Avalanche- Bhari barish ke baad eska pani ekdam crystal clear ho jata hai and bahut hi sudar lgta hai.

What is the best time to visit Ooty?

Summer Vaccation: March se June ka time family ke sath sightseeing ke liye best time hai. Ye season peak time hai ooty ka so es time kafi crowd rhta hai kyuki es time par schools ki holidays starts ho jati hai. And bahut acchi bat ye hai ki es time weather bahut hi pleasent hota hai na garmi na thandi. And sare point open rhte hai explore karne ke liye.

Monsoon: July – September, Ye time couples ke liye best time hai, eske alava trekking lovers, photographers and nature lovers ke liye bhi bahut accha hai. Es time ooty ka temperature 13°C and 20°C rhta hai.

Winter: October – February, Ager apko cold weather experience krna hai to winter perfect time ho sakta hai. Ye time honeymoon trip ke liye ekdam perfect hai.

Where to Stay in Ooty?

Ooty in Monsoon, kyuki crowd kam hota hai to es monsoon me hotels and stays kafi affordable rate par mil jate hai. Agar aap phle se rooms book karke jayenge to apka time bachega aur aap acche se ghoom payenge and enjoy kar payenge.

Hmlog jab wha gye the to peak season tha and hmne phle se room book nhi kiya tha, hamne room search karne me apna bahut sara time lga diya and finally hme koi room nhi mila aur hame raat ko apni car me hi sona pada, Subah hame room mila wo bhi sirf fresh hone kiye 1 ghante ke liye.

So apke sath aisa na ho esliye ooty kabhi bhi jaye phle se room book kar le. Bahut sare luxury villas and hotels hai so book and enjoy!

Hmare sath ek chij bahut acchi hui wo tha ‘sunrise’ ‘Oh My God’ . The moment was amazing. Hm sabne kulhad wali chai li aur sunrise ke sath bahut saree photos click kari.

Conclusion: जन्नत या आफत?

Pahado ki wadiya, wadiyo ki hariyali aur halki halki barish me garam garam chai ka mja lena hai to Ooty in Monsoon kisi Jannat (जन्नत) se kam nhi hai. But, ager apko lgatar baher ghoomna ya trekking pasand hai to ye apke liye kisi Aafat (आफत) bhi ban sakta hai.

Monsoon ke time par ooty looks nice uski hariyali, rim-jhim barish but bahut jyada fog ki vjah se kuch dikhayi nhi deta, koi bhi sightseeing krna muskil hai ya fir ye kahu ki aafat ho sakti hai. Es time indoor activities to accha hai but outdoor sightseeing ka experience bahut bekar ho sakta hai. So, jane se phle ek bar weather forecast jaroor se pta kar le.

Have a Nice Visit! Have more Clicks!

Agar aapko kisi aur jagah ke liye travel tips and guide ki jankari chahiye to aap hamara blog page check kar sakte hai.
Agar apko kisi- topic ke uper jankari chahiye to hme comment kar sakte hai topic ke name ke sath. Ham kosis karenge us topic ko cover karne ki. Thanks

Leave a Comment