Ranchi Budget Travel Guide: कम खर्च में ‘झरनों के शहर’ की सैर और ‘रांची वाले भैरव बाबा’ के रहस्यमयी दर्शन!

Jharkhand ki rajdhani ‘Ranchi’ bahut khoobsurat Jagah hai, ye jagah nature, waterfalls and rahashyo se bhari huyi hai. Yeh ek budget friendly tour destination ho sakta hai. Ranchi ko ‘City of Waterfalls’ bhi kha jata hai. Agar aap bhi ek ranchi budget travel guide ke bare search kar rhe hai to ye article apke liye hai. Maine es blog me budget travel ke liye sari jankari share ki hai.

Ranchi ek aise city hai jaha jane ke liye apko bahut sare paiso ki jarurat nhi hai, aap yaha kam paiso me bhi ja sakte hai aur yaha ke hasseen nazare, ghane jungle, adventure and aadhyatmik shanti ka anubhav kar sakte hai.

Aaj ke es Ranchi budget travel guide me ham sirf ranchi ko budget me explore karne ke tareeke ke bare me hi nhi balki ranchi ke famous जाग्रत “रांची वाले भैरव बाबा मंदिर”
Ke bare me bhi detail me samjhenge. Es guide ko ant tak jaroor padhen.

Ranchi: Culture, Nature and अध्यात्म ka Anokha Sangam

Ranchi me jyadatar mahine bahut suhane hote hai kyuki yeh chotanagpur ke plateau par sthit hai jo ki lagbhag 651 meters ki oonchayi par hai.

Ranchi, Bihar ki Summer Capital bhi kaha jata hai. Yahan ke evergreen forests, charo taraf faili hariyali, tribal culture is city ko bilkul alag banata hai. Yahan par apko alag alag tarah ke experience milenge, ek taraf city ki chakachaundh aur dusri taraf purane aur rahashyamayi temples and waterfalls

Ranchi Budget Travel: Kaise Pahuche, Kaha Ruken, Aur Kya Khaye?

Ranchi travelling ke kharcho ko kaise manage kare uske liye kuch tips:

1. Ranchi Kaise Pahuche?

By Train: Ranchi Railway Station (RNC) and Hatiya Railway Station (HTE) bahut sare cities: Delhi, Patna, Kolkata, Mumbai, Chennai etc. se direct connected hai. Budget maintain rakhne ke liye Sleeper ya 3 AC class ka use karna best choice ho sakti hai.

By Road: Agar aap Bihar, West Bengal, ya Orisha jaise kisi pass ke rajya se aa rhe hai to government and private buses apke liye best choice ho sakti hai.

By Flight: Ranchi ka Birsa Munda Airport city ke beech me hai jo ki approx 5-7 KM ki distance par hai. Advance me booking karne se apko acchi deals mil sakti hai.

2. City me Local Transport Guide

Waise to online Uber/Ola cab available hai but Budget friendly travel ke liye city me local sharing auto-rickshaw, e- rickshaw and Government buses ka use karna jyada thik hoga.

Sharing Auto: City ke main circles jaise railway station, lalpur, albert ekka chowk aur booti mod ke beech sharing auto ka kiraya karib Rs15-40 ke beech hota hai.

Auto Reserve: Agar aap group me 3-4 log hai to auto book karna accha rahega jo ki apko city aur city ke baher waterfalls tak easily le jayega and uska kiraya lagbhag Rs.1200 – 1800 ke beech me rhta hai.

3. Kaha Ruken? (Budget Hotels Options)

Ranchi me rukane ke liye apka bahut jyada budget kharch karna nhi padta hai.

Station Road and Main Road: Railway station ke baher aur main road ke aaspass dharamshalaye aur budget hotels apko Rs. 500 – 900/per night ke hisab se saf-suthre room easily mil jayenge.

Lalpur and Harmoo Road: Yeh young logo aur students ka hub hai, yahan par lodge and guest house easily mil jate hai.

Note: Stay ke liye room booking online advance me kar lenge to jyada better rahega jaise ki MakeMyTrip or Other platforms ka use karke, yahan apko offers bhi kafi mil jate hai.

4. Budget Friendly Food ( Jharkhand ka Taste)

Ranchi ka Dushka and Litti Chokha

Jharkhand ka khana sasta hone ke sath sath bahut tasty bhi hai.

Dhuska aur Litti Chokha: Ranchi ke kisi bhi kone me aap ho apko subah ke naste me ‘Duska-Channa’ mil jayega and eski kimat Rs. 20/ per plate – 30/ per plate hai. Aur sham ko main road ya fir mohrabadi maidan ke pas ‘Litti-Chokha’ to apka dil jeet lega aur Rs.40-50 me pet bhi bhar dega.

Dhabe and Hotels: Station Road par small hotels and dhabe par apko Rs.80 – 120 me bharpet khana mil jayega.

Ranchi Wale Bhairav Baba: Russian Hostel Colony Ka जाग्रत साधना केंद्र

Ranchi wale Bhairav Baba Mandir

Ranchi aaye hai to yahan ke जाग्रत Bhairav Baba ke darshan kiye bina apki यात्रा adhuri hai, yeh ek rahasyamyi adhyatmik mandir hai jise duniya “रांची वाले भैरव बाबा मंदिर” ke name se pahchanti hai. Yah ek ‘Sadhna’ ka kendra hai.

Mandir ka exact location and entry: 

Yeh rahashymayi mandir Russian Hostel Colony road par hai, yahan pahuchna bahut aasan hai and yah ‘Hatiya Railway Station’ and Main city ke pass hai. Yah jagah Baba Kal Bhairav aur adhyatmik sthal ke liye jani jati hai.

तांत्रिक महत्व and अघोर मार्ग:

Shree Kal-Bhairav baba, jo bhagwan shiv ke panchve avtar hai unki मुख्य roop ye es mandir me pooja hoti hai. Yah mandir ko sadharan pooja sthal nhi hai balki yahan bade bade तांत्रिक साधकों, अघोरियों और कौल मार्ग ka ek bahut hi gupt aur जाग्रत साधना sthal hai. Yahan par ki gayi prarthnaye kabhi khali nhi jati. Esi mandir me Maa Rudra Kali ka उग्र swaroop bhi sthapit hai.

Rahasya:
Es mandir ki sabse khas baat jo hai wo hai yahan hone wali भस्म आरती aur sunday special संध्या आरती. Jaise महाकाल की नगरी उज्जैन me special tithiyo par bhasm aarti ki jati hai waise hi yaha par jaise Bhairav astami par damroo, shankh, aur nagado se pura vatavaran gunj uthata hai. Yahan aane wale bhakt baba ko naman karte samay “अलख आदेश” kahte hai, yah ‘Nath’ Sampraday aur aghor parampra ka prateek hai. “अलख आदेश” ka matlab hai अविनाशी परमात्मा का आदेश.

Bhakto ka anubhav aur कष्ट निवारण:

Aisa mana jata hai ki agar koi व्यक्ति kisi मानसिक तनाव, अज्ञात भय, ऊपरी बाधा, शत्रु बाधा ya fir kisi bhi tarah ke kala jadu se pareshan hai to yahan par hajiri lgane matra se sare kasto ka nivaran hota hai. Mandir me seva karne wale aur wahan ke sadhak bhakto ki pareshani sunte hai aur ashirvad ke roop me raksha sutra ya fir bhasm dete hai.

Darshanarthiyon Ke Liye Mahatvapurna Jankariyan:

Entry Fees: Mandir ke ander jane ya darshan ke liye koi bhi fees nhi hai yah poori tarah se free hai.

Timing: Mandir subah aur sham ko darshan ke liye khulta hai, lekin sunday aur amavshya ko waha pure din bheed rahti hai. Agar apko shanti se darshan karna hai ya sadhna karni hai to aap weekdays ke dopher ko ya fir subah jaldi jaye.

Rules: Yah ek sadhna ka kendra hai esliye whan shanti banaye rakhan bahut jaroori hai. Photography ka videography karna mana hai to agar apko koi bhi photo chahiye to wahan se sevako se apko permission leni padegi.

रांची में कम खर्च में घूमने वाली टॉप जगहें (Must-Visit Budget Spots)

So, Bhairav Baba ke darshan kar liye aur आध्यात्मिक ऊर्जा bhi le ki to ab time hai ranchi ki nature aur history ko explore karne ka. So chaliye niche maine kuch jagaho ke baro me bataya hai jaha ya to entry fees hai hi nhi ya fir bahut hi kam hai. So let’s see-

Tagore Hill

Yeh jagah Art aur shanti ka kendra hai. Yah jagah Gurudev Ravindranath Tagore ke Bade bhai Jyotirindranath Tagore se judi hai aur yah Mohrabadi area me pahadi par stith hai.
Pahadi par karib 300 sidhiya hai jaha se apko ranchi ka Panoramic View dekhne ko milta hai and sunset dekhne ke liye yeh ek bahut hi acchi jagah hai.

Entry: Entry ticket only Rs. 10/per head hai.

Pahadi Mandir

Yeh ek historical shiv dham hai. Yeh Mandir Ranchi ke center me ek oounche pahad (फांसी टोंगरी) par stith hai. Kyuki yahan par स्वतंत्रता संग्राम ke dauran british hukumat karte the aur deshbhakto ko yahan फांसी dete the. Ajadi ke bad se har sal yahan par Independence Day aur Republic Day par Jhanda fahraya jata hai.

Es pahadi par chadhne ke liye karib 400 ya usse jyada sidhiya chadhni padti hai aur yahan se Ranchi Lake ka nazara bahut hi sundar dikhai deta hai.

Entry bilkul free hai.

Kanke Dam & Rock Garden

Kanke Dam: Yeh ek pasandida evening hangout spot hai. Yaha par baithkar dam ke kinare maja le aur thandi havaye enjoy kare aur yah jagah bilkul free hai.

Rock Garden: ye garden kanke dam ke just side me hi hai jo ki kabad ki chijo se tarashkar banaya gya hai. Esme baccho ke lijhule, and banye hue waterfalls and sundar si murtiya hai.
Eski entry ticket Rs.15/per head hai.

Jonha & Hundru Waterfalls

Jonha Falls: Kyuki yahan par Bhagvan Buddha ne snan kiya tha esliye Jonha falls ko Goutam Dhara bhi kaha jata hai. Esi ke pass ek boddh math bhi hai.

Hundru Falls: Yah Ranchi ka sabse ooncha (320 feet) jharna hai jo ki swarn rekha river par stith hai aur yahan ka view bahut hi khoobsurat hai.

Budget Travel ke liye Tip: Ye Jharne city se approx 40-45 Km door hai aur akele jane se cab ka taxi ka kharcha badh sakta hai esliye suggestion hai ki 3-4 logo ke sath share kar le ya fir local bus se सिकिदिरी या जोन्हा स्टेशन tak jaker vahan se local auto le le budget manage karna asan hoga.

Ranchi 3- Day Budget Travel ( Perfect 3- Days Itinerary)

Table

Budget Travelers ke liye Important Tips

Off-season me travel karen:
October se February ke beech ka time bahut hi accha rahta hai es samay ranchi ke sare jharne apne poore ufan par rhte hai aur weather bhi bahut sunder hota hai. March- June ke beech yahan garmi hoti hai lekin es samay hotels kam rate me mil jate hai kafi discount rahta hai.

Safety First:
Waterfalls ke pass fislan bhare patthar hote hai aur pani bhi gahra rahta hai to wahan dhyan rakhne ki jaroorat hai. Suraksha ke ghere me hi rahe to accha hai.

Dharmik Bhavnao ka Samman kare:
Jaise ki maine es blog me apko bataya hai ki रांची वाले भैरव baba mandir ek Sadhna ka kendra hai to wahan jaker kisi bhi tarah ka koi shor saraba na kare aur sevadaro se puchkar wahan ke rules ko follow kare.

Final Thoughts:

Jharkhand me Ranchi ek aise city hai jisko abhi tak bade paimane par commercialize nhi kiya gaya hai aur yeh shahar kisi anmol ratn se kam nhi. Commercialize na hone ki vajah se hi yahan abhi tak naturally khoobsurat aur Adhyatmik suddhta bani hui hai.

Yah sabse accha option hai kam budget me nature aur adhyat ke beech samay bitane ka. Ranchi wale Bhairav baba ke darbar me jaker apni manokamna jaroor kare, yeh apko adhyatmik oorja se bhar dega. To, Ranchi budget travel guide me maine wo sab cover karne ki kosis ki hai jisse aapki yatra budget me ho aur enjoy bhi kar paye. So, soch kya rahe hai Jharkhand ke en haseen wadiyo me jane ki tayiyari suru kijiye aur nikal padiye ek nayi yatra par!

अलख आदेश! जय काल भैरव!

Leave a Comment